and the final song in the array of patriotic songs

mehdi hasan

yeh watan tumhara hay
tum ho paasbaan is kay
yeh chaman tumhara hay
tum ho naghman khan is kay

yeh watan tumhara hay
tum ho paasbaan is kay

is chaman kay pholon par
rang o aab tum say hay
is zamin ka har zarra
aaftab tum say hay
yeh faza tumhari hay
behr o barr tyumahray hain
kehkashan kay yeh jalay
rehguzar tumharay hain

yeh watan tumhara hay
tum ho paasbaan is kay

is zameen ki mitti main
khoon hay shaheedon ka
arz e pak markaz hay
qaum ki ummedon ka
nazm o zabt ko apna
mir e karvan jaano
waqt kay andheron main
apna aap pehchano

yeh watan tumhara hay
tum ho paasbaan is kay

Pakistan Paindabad !

0 Comments:

Post a Comment

<< Home

|